Balcony mein baidha kabooter ka joda
Kitne pyar se ando Ko saink raha hai.
Janata hai par nikalate he udh jayenge ,
Par Phir bhi apna poora pyar udhel raha hai.
Na rakh wafa ke umeed kisi se bhi pagali,
Parinde bhi par nikalane par ashiyana bhool jaate hai,
Kar le apne aap se beshumar pyar,
Yaha apne bhi ek din dur ho jaate hai.
Seekhi nayi seekh us kabooter ke jodhe se,
Na rakh umeed Tuh kisi bhi Rishte se.
Hai apne aap mein Tuh poori , khud Ko sawanr
Bheeter chipe rango se panno par bikher de gulal,
Umeed toote toh dil toota hai,
Phir kyon Insaan yeh bhram rakhta hai.
Koi aayega sawar jayega uska Jeevan ,
Es ahesaas mein kyon umar bhar tadapata hai.
Khud tujh mein hai bhara aseem pyaar,
Phir kyon nahi khud par he tujhe aitbaar,
Zindagi ek raat hai, jisme na jaane kitne khwab hai,
Khwabo Ko poora kar
Apne pe bharosa kar
Phir dekh sama badal jayega,
Hawao mein masti bikhar jayegi,
Dekhna Teri Duniya kitni badal jayegi.
Written by
Madhu anand Chandhock
Time 7.15 pm 25 th march
No comments:
Post a Comment