Tuesday 5 May 2015

Khoya Bachpan


Bachapan kaha kho Gaya gammo Ke dodh mein,
Hum kaha aa Gaye paisa kamane Ke hodh mein.

Kitne pyare they woh pal jab choti choti umeede thi,

Bouji ( my Dad) Ke Jeb Ke rejgari he meri saari poonji thi.






Dil nahi tab sirf khilone tuta karte they,
Ek pal jagadh duje he pal  dost Ke gale mila karte they ,


Barish Ke pani mein kagaj Ke kashti taira,  khud he dubo diya karte they,
Pao maar usi pani mein Apna aap  bhigoya karte they .







Ek aansu  bhi ab toh rusva kar jata hai,
Woh bachapan kitna  acha tha jab khul kar roya karte they .


Chalo phir se dhoond laye usi masoom bachapan ko,
Jaha gaam ka pata na tha,
Dukh Ke samajh na thi
Jaha sirf muskarahate thi,
Charo aur baharrein thi,


Jaha duniya ka har chehra ,Saccha he lagta tha,
Maa Ke aanchal mein chup ,Har dukh se chutkara Milta tha .











No comments:

Post a Comment