Saturday 28 March 2015

2 states Movie

2 States Movie experience:)


Yeh latakate hue phoolo ke ladiya,
Camera Ke chamakte hue shishe,
Makeup dada ka aa aa kar touch up dena ,
Aur dur kahi mandir ka ghanta bajna 

Chilchalati dhoop mein Sheetal samander (sea) Ke lehro ka athkheliya karna,
Light man ,setting man en sabka Bina thake lagatar kaam par lage Rehna.

Amrita , Aaliyah aur  Achint ka set par big boss Ke discussion  karna,
Arjun ka beech beech mein kuch Bol sabko hansa Jana,
Director ka very nice keh one more Bol dena ,
Amrita aur Arjun ka ise sun aankhe Badi kar dekhna.
Aarif  ka pack up kehte he sabka khushi se uchaal padna,

Kashyap my angel ( my son) ka meri bache Ke tarah care karna,
Aur bar bar aa Maa u do u need anything ? R u ok kehna,
Production team ka hum sabki ache se care karna,
Aur set par ghar Ke jaisa he mahol lagna.

Yaad bahut aayega naye bane dosto Ke saath dhero jokes karna ,
Aur vanity van mein itna hasna Ke aankho mein aansu aa Jana.

Sidhanth ka meethi muskaan se subah subah hamara swagat karna,
Aur marvey Ke jetty mein hum sabka daudkar chadhana

Niti Krati, Kareena ,Natasha ka hamare costume Lana, 
Director ,( Abhishekh Verman ) DOP ( B
inod Pradhan ) ,ADs aur Sab stars ka hum sabse mil Jul kar Rehna .




Zindagi bhi ek film Ke tarah he lagti hai,
Naye log aate purane jate hai.
Isi aane jane Ke beech dhero kadvi meethi Yaadein de jate hai .

Aaj bahut sari meethi yaddon Ke saath aap Sab se vida Leti hu,
Jeevan Ke ek moth par phir mileage yeh Kamna rakhti  hu,

Aap Sab apne pariwar  Ke saath kush , swasth aur samrith rahe  ,
2 stAtes duniya Ke Sab states par Chah jaye,
100 , 200   crore toh Kya  usse bhi jyada es doorh mein bahut aage badh jaye
Aur hum sabko apni mehnat ka phal mil jaye 
Bas yahi prathana karti hu 
Bas yahi prathana karti hu

 Poem written on 2 states set while shooting  on 13 th nov  2013
Written by 
Madhu Chandhock 

No comments:

Post a Comment