Saturday, 21 March 2015

Tajurba Zindagi ka :)


Dusaro Ke ghar Ke Chirag jalane mein hum itna kho Gaye,
Bekhudi mein apne ghar mein andhere bharate chale Gaye . 

Jo bhi mila hamme istemal kar aage badh Gaya,
Hum aise he unse vafa Ke  umeed ( chahat ) karte rahe .

Kitne mukhote hai yaha har ek chehere par,
Hosh aaya toh Jana Is baar bhi hum dhokha kha Gaye.

Matlabi duniya ko dekh ab logo se Milne mein darte hai,
Khud apne aap mein doob ab akele he rehte hai.

Ab nahi kar payenge bharosa kisi bhi shaks par,
Nikharenge ,Sawarenge , kaam karenge ab khud par.

Aey rabba kyon tere sansaar mein Sab dhongi baste hai,
Kyon Sab hamare bhavanao se khel dil ko chot dete hai.

Koi aisa insaan toh dikhe ,saccha Ho jo mann ka,
Jisse pa kar Ho jaye bharosa Teri rehmat ka .

No comments:

Post a Comment