Tuesday 17 March 2015

Mann

Few lines ( chhand panktiya) 

Maan toh mera chal pada,
 neel Gagan mein titli ban udh chala.
Rok na payega koi ,
Yeh toh pani Ke tarah beh chala,
Na kisi Ke Sunega, Na kisi se darega. 
Sari ichhaye , kamanaye, ab toh puri karega.
Pyare se ek farishtey ne use nayi udaan de di hai,
Maa, aap likha karo, yeh bata mujhe meri pehchaan de di hai.
Apni Sab bhavanaye kavita mein pirota rehta hai ab yeh maan 
Aur apno ko suna pulkit ( happy ) hota rehta hai yeh maan.
Aur apno ko suna pulkit ( happy ) hota rehta hai yeh maan.

No comments:

Post a Comment