Monday 30 March 2015

Today's Generation:)




Laila- Majnu, Shiri - Farhad Ke kisse kyon itne mashhoor ( famous) hue,
Kyon aajkal Ke premi premika do pal mein he dur hue .

Subah milte, Shaam ko Pyar ka Ikraar aur Raat ko Ho jata Pyar ka Izhaar,
Subah Udhate he Ho jati dono mein bhari Takraar.

Ek duje par Haak jamate, Ek duje ko Neecha dikhate,
Apni Apni kurbaniyo ( sacrifices) Ke gaatha sunate.

Ladki kehti samaj se lad, shadi se pehle tere saath rehne mein aa gayi,
Ghar walo ka maan dukha, tere maan lubhane aa gayi.

Ladka  bolta mene tujhe nahi kiya mazboor,
Tuh khud  chali aayi mere paas toh mere Kya kasoor .

Kaha Gaya woh Pyar , woh Pyar Ke pehle Anubhti,
Ek nazar pane Ke liye jab  ghanto intazar kiya karte the,
Aur usi intazar mein Pyar bhare Geet likh diya karte they.

( Next few lines i have taken from some old hindi Songs:))


Jindagi bhar jab nahi bhulati thi  jab woh barsat Ke raat,
Ek anjaan hasina se mulakat Ke raat .
Intazar kiya karte the mehboob ka jab kyamat tak,
Aur usi pyar ke sahare pahunch jate  they kamyabi tak . 
Jhilmil sitaro ka anngan tha,
Rimjhim barasta Sawan tha.

Kyon nahi Pyar mein ab sacchai hai,
Matlab Ke liye rishto Ke banpai hai.

Premi premika badalate ek duje ko Kapdo  ( clothes ) Ke tarah,
Try karte Pyar ko shopping mall mein rakhi cheezo Ke tarah .

Suhana safar, mastana mausam ab unhe nahi lubhata hai 
 Ek duje ka status aur Bank balance he ab nazar aata hai.

25th anniversary toh bahut dur , 1st anniversary tak bhi saath na chal pate hai,
Sach toh yeh hai Aajkal Ke bacche rishto ko Nibha nahi pâté hai .



These are my feelings which i have , nothing personal :)

No comments:

Post a Comment