Sunday 15 March 2015

A write up on on Peshawar incident


Aakhir kab tak yeh sab chalta rahega,
Masumo ka khoon Kya yuhi behta rahega.


Kya kasoor tha un nanhe farishto  ka,
Kya unhe hakk nahi tha jeene ka.


Kyon unse jeene ka hakk cheen liya,
Maa baap ka Seena jaise chalani kar diya .


Attank ( terror ) phaila rahe mout ke Soudagar,
Kya milta unhe khun kharaba philakar.


Moun( silent ) khade ab na saho,
Aaage badh mil unse lado.


Sawalo ke dhayro mein ab na ghuto,
Chalo Ekjut ( together) ho Awaz buland karo.


Ab hamme ladna hoga,
Haan ab nahi yeh sab Sehna hoga .


Aagjani , Golibaari, yeh aapas ke Takraar,
Yeh rishto ke beech panapati nafrat ke deewar.
Galiyo, chouraho, schoolo tak mein bikhare laasho ke ambar,
Mil kar sochho kaun bhala hai iska jimmedar.

Written by 
Madhu anand Chandhock
On 17/12/2014

No comments:

Post a Comment