Monday, 23 March 2015

Kuch purane frame, kuch tasveere , chand diye,
Deevali Ke safai mein mujhe miley.
Yaad aa gayi bahut se bhuli yaddein, 
Bachapan Ke Bholi aur jawani Ke madbhari  battein .


Upper barchati (loft )par dikha Maa ka purana kambal,( blanket)
Aorh liya use, Mann ko mila naya sambal  (strength).
Yaad aaya woh Maa ka aa sote mein gaal par kiss karna,
Aur neeche Giri razai ko phir se mujhe aodha Jana .


Deekhi dhero cheeze jo ab kisi kaam ke nahi,
Par pagla maan na phenk (throw) pata unhe bhi kahi.
Kyon yeh bhola maan lagav nahi chodh pata,
Apni purani yaddon se juda nahi kyon Ho pata .

No comments:

Post a Comment