Saturday 21 March 2015

Mastana Mousam

Yeh Chiriyo ke Chehchahat ,
Yeh Patiyon ke Sarsarahat,


Yeh Suhana Mastana Mausam ,
Jagata Dil mein Umang ka Aalam.


Roj subah Khidaki se dikhta yeh Pyara sa Manzar,
Uchalti samunder ke Lehre ,
Aur us par badlo ke Chadarr.


Pedo ( trees ) par girti Barish ke  Pyari Boonde 
Meri khidki par baitha ek Kabootar Aankhe Moonde😊😊


Aaj maan keh raha hai Pakshi ( bird) ban Udh ja,
Apne Sab gaam bhul neel Gagan mein kho ja.


Duniya Ke pareshaniyo se Kabooter Ke tarah Aankhe Moond ja,
Pal do pal Ke liye he Sahi, sapno Ke duniya mein so ja
Or 
Pal do pal Ke liye he Sahi , dhair saare Sunahare Sapne Bun ja
 .

No comments:

Post a Comment